ye shan-e-wafa gham ki hikayat se mili hai
ye shān-e-vafā ġham kī hikāyat se milī hai
daulat mujhe ye dard-e-mohabbat se milī hai
aalam ko bahārāñ hai kiye us kī tamanna
gulshan ko mahak phuul kī sohbat se milī hai
ik hashr hai us kā kisī kūche se guzarnā
raftār kī had hadd-e-qayāmat se milī hai
zarre se jo suntā huuñ maiñ sūraj kī kahānī
ye āgahī muddat kī riyāzat se milī hai
mushkil kī har ik shakl pe merā hai tasarruf
mujh ko ye sanad shāh-e-vilāyat se milī hai
is qaum ke ab koī bhaTakne kā nahīñ Dar
manzil jise sadiyoñ kī masāfat se milī hai
tum yaad na rakkho mujhe lekin ye rahe yaad
shohrat tumheñ merī hī mohabbat se milī hai
ye shan-e-wafa gham ki hikayat se mili hai
daulat mujhe ye dard-e-mohabbat se mili hai
aalam ko bahaaran hai kiye us ki tamanna
gulshan ko mahak phul ki sohbat se mili hai
ek hashr hai us ka kisi kuche se guzarna
raftar ki had hadd-e-qayamat se mili hai
zarre se jo sunta hun main suraj ki kahani
ye aagahi muddat ki riyazat se mili hai
mushkil ki har ek shakl pe mera hai tasarruf
mujh ko ye sanad shah-e-wilayat se mili hai
is qaum ke ab koi bhaTakne ka nahin Dar
manzil jise sadiyon ki masafat se mili hai
tum yaad na rakkho mujhe lekin ye rahe yaad
shohrat tumhein meri hi mohabbat se mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.