ye shab-e-furqat mein rang-e-gardish-e-ayyam tha
ye shab-e-furqat meñ rang-e-gardish-e-ayyām thā
sub.h kā taarā jise samjhā charāġh-e-shām thā
ham sunā karte the aksar garmī-e-mahshar kā naam
ab jo dekhā ik sitamgar āftāb-e-bām thā
imtiyāz-e-ishq thā phir kaise lā saktā thā taab
hashr bas is par bapā thā us kā jalva aam thā
ishq par lāzim thā ḳhud farhād kā sar toḌnā
puḳhtagī kā us ko da.avā us ko saudā ḳhaam thā
aap to muḳhtār the jo dil ne chāhā vo kiyā
aur phir ulTā mujhī par hashr meñ ilzām thā
mast saaqī kī nazar kī jumbihsoñ ko kyā kahūñ
ya.anī be-parda javāb-e-gardish-e-ayyām thā
maiñ nasheman meñ rahā sayyād kā yuuñ bhī asiir
dil meñ thā mere qafas āñkhoñ meñ merī daam thā
nāma-bar ko jaan de dī iztirāb-e-shauq meñ
bas yahī naama mirā thā bas yahī paiġhām thā
imtihān-e-ishq us ne kyoñ liyā ai ahl-e-ishq
puḳhta-kāroñ kī taraf se kyā ḳhayāl-e-ḳhām thā
mujh ko jab se hosh hai lākhoñ tarah ke ġham meñ huuñ
hosh meñ jab tak na thā mujh ko bahut ārām thā
kyā 'vafā' kī sarguzisht-e-ġham kahūñ yādash-ba-ḳhair
mar rahā thā aur lab par aap hī kā naam thā
ye shab-e-furqat mein rang-e-gardish-e-ayyam tha
subh ka tara jise samjha charagh-e-sham tha
hum suna karte the aksar garmi-e-mahshar ka nam
ab jo dekha ek sitamgar aaftab-e-baam tha
imtiyaz-e-ishq tha phir kaise la sakta tha tab
hashr bas is par bapa tha us ka jalwa aam tha
ishq par lazim tha KHud farhad ka sar toDna
puKHtagi ka us ko dawa us ko sauda KHam tha
aap to muKHtar the jo dil ne chaha wo kiya
aur phir ulTa mujhi par hashr mein ilzam tha
mast saqi ki nazar ki jumbihson ko kya kahun
yani be-parda jawab-e-gardish-e-ayyam tha
main nasheman mein raha sayyaad ka yun bhi asir
dil mein tha mere qafas aankhon mein meri dam tha
nama-bar ko jaan de di iztirab-e-shauq mein
bas yahi nama mera tha bas yahi paigham tha
imtihan-e-ishq us ne kyon liya ai ahl-e-ishq
puKHta-karon ki taraf se kya KHayal-e-KHam tha
mujh ko jab se hosh hai lakhon tarah ke gham mein hun
hosh mein jab tak na tha mujh ko bahut aaram tha
kya 'wafa' ki sarguzisht-e-gham kahun yaadash-ba-KHair
mar raha tha aur lab par aap hi ka nam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.