ye shab mujhse kinara kar rahi hai
ye shab mujh se kināra kar rahī hai
baḌā ghāTe kā saudā kar rahī hai
na pūchho merī rusvā.ī kā 'ālam
chalo ḳhilqat tamāshā kar rahī hai
hujūm-e-shahr-e-nā-pursāñ meñ ham ko
mohabbat kaise tanhā kar rahī hai
maiñ Dhaltī shaam kā manzar huā huuñ
sahar ab mujh se parda kar rahī hai
zarā chakh lījiye nā hazrat-e-shaiḳh
ye mai kab se taqāzā kar rahī hai
jo zikr-e-karbalā na kar rahī ho
bhalā vo zindagī kyā kar rahī hai
nigāh-e-shauq kā 'ālam na pūchho
tavāf-e-rū-e-zebā kar rahī hai
nahīñ 'hammād' chārasāz koī
shab-e-ġham ḳhud dilāsa kar rahī hai
ye shab mujh se kinara kar rahi hai
baDa ghaTe ka sauda kar rahi hai
na puchho meri ruswai ka 'alam
chalo KHilqat tamasha kar rahi hai
hujum-e-shahr-e-na-pursan mein hum ko
mohabbat kaise tanha kar rahi hai
main Dhalti sham ka manzar hua hun
sahar ab mujh se parda kar rahi hai
zara chakh lijiye na hazrat-e-shaiKH
ye mai kab se taqaza kar rahi hai
jo zikr-e-karbala na kar rahi ho
bhala wo zindagi kya kar rahi hai
nigah-e-shauq ka 'alam na puchho
tawaf-e-ru-e-zeba kar rahi hai
nahin 'hammad' chaarasaz koi
shab-e-gham KHud dilasa kar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.