ye shahr-e-dil jo hawadis ki aaj manzil hai
ye shahr-e-dil jo havādis kī aaj manzil hai
ujaḌ chukā hai magar dekhne ke qābil hai
ġham-e-jahāñ mirī fitrat badal nahīñ saktā
vahī hai 'azm vahī hausla vahī dil hai
ġhurūr-e-husn ne añgḌā.ī le ke dekhā hai
ilāhī ḳhair ki ā.īna bil-muqābil hai
halāk-e-shauq huā jā rahā hai ḳhud 'ālam
ḳhatā mu'āf yahāñ kaun kis kā qātil hai
hazār meñ tan-e-tanhā sahī magar 'jarrār'
bajā-e-ḳhud mirī tanhā.ī ek mahfil hai
ye shahr-e-dil jo hawadis ki aaj manzil hai
ujaD chuka hai magar dekhne ke qabil hai
gham-e-jahan meri fitrat badal nahin sakta
wahi hai 'azm wahi hausla wahi dil hai
ghurur-e-husn ne angDai le ke dekha hai
ilahi KHair ki aaina bil-muqabil hai
halak-e-shauq hua ja raha hai KHud 'alam
KHata mu'af yahan kaun kis ka qatil hai
hazar mein tan-e-tanha sahi magar 'jarrar'
baja-e-KHud meri tanhai ek mahfil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.