ye shahr-e-gul KHash-o-KHashak ho gaya kaise
ye shahr-e-gul ḳhash-o-ḳhāshāk ho gayā kaise
mujhe pata nahīñ ġhamnāk ho gayā kaise
jis aadmī ne kināra kabhī nahīñ dekhā
samundaroñ kā vo tairāk ho gayā kaise
kahīñ charāġh kī maddham sī raushnī bhī nahīñ
to phir ye dāman-e-shab chaak ho gayā kaise
zamāna kahtā rahā jis ko umr bhar ahmaq
vo shaḳhs sāhab-e-idrāk ho gayā kaise
havā-e-tund ko is baat par ta.ajjub hai
charāġh raah kā bebāk ho gayā kaise
havā meñ koī sharar kā gumāñ na thā 'ātish'
to phir shajar kā badan ḳhaak ho gayā kaise
ye shahr-e-gul KHash-o-KHashak ho gaya kaise
mujhe pata nahin ghamnak ho gaya kaise
jis aadmi ne kinara kabhi nahin dekha
samundaron ka wo tairak ho gaya kaise
kahin charagh ki maddham si raushni bhi nahin
to phir ye daman-e-shab chaak ho gaya kaise
zamana kahta raha jis ko umr bhar ahmaq
wo shaKHs sahab-e-idrak ho gaya kaise
hawa-e-tund ko is baat par tajjub hai
charagh rah ka bebak ho gaya kaise
hawa mein koi sharar ka guman na tha 'atish'
to phir shajar ka badan KHak ho gaya kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.