ye shahr hai anjaan kahan raat guzarun
ye shahr hai anjān kahāñ raat guzārūñ
hai jān-na-pahchān kahāñ raat guzārūñ
dāman meñ liye phirtā huuñ maiñ daulat-e-ġham ko
ġhāfil hai nigahbān kahāñ raat guzārūñ
kuTiyā to alag sāya-e-dīvār nahīñ hai
har raah hai vīrān kahāñ raat guzārūñ
is rāhguzar par to shajar bhī nahīñ koī
aur sar pe hai tūfān kahāñ raat guzārūñ
bahrūpiye phirte haiñ har ik rāhguzar par
koī nahīñ insān kahāñ raat guzārūñ
dar vā hai koī aur na darīcha hī khulā hai
har kūcha hai vīrān kahāñ raat guzārūñ
ye shahr hai anjaan kahan raat guzarun
hai jaan-na-pahchan kahan raat guzarun
daman mein liye phirta hun main daulat-e-gham ko
ghafil hai nigahban kahan raat guzarun
kuTiya to alag saya-e-diwar nahin hai
har rah hai viran kahan raat guzarun
is rahguzar par to shajar bhi nahin koi
aur sar pe hai tufan kahan raat guzarun
bahrupiye phirte hain har ek rahguzar par
koi nahin insan kahan raat guzarun
dar wa hai koi aur na daricha hi khula hai
har kucha hai viran kahan raat guzarun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.