Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye shahr shahr-e-bala bhi hai kina-saz ke sath

Rais Amrohvi

ye shahr shahr-e-bala bhi hai kina-saz ke sath

Rais Amrohvi

MORE BYRais Amrohvi

    ye shahr shahr-e-balā bhī hai kīna-sāz ke saath

    nikal chalo kisī mahbūb-e-dil-navāz ke saath

    yahī navā-e-adam hai yahī navāzish-e-kun

    ḳhushā hikāyat-e-nai harf-e-nai-navāz ke saath

    sū-e-nigār-o-sū-e-shahr-e-zar-nigār chaleñ

    qalandrān-e-havasnāk-o-pāk-bāz ke saath

    salām ham-nafaso al-firāq ham-safaro

    safar hai duur vo bhī rah-e-darāz ke saath

    ye ḳhirqa-posh faqīrān-e-ḳhāriq-ul-ādāt

    hamāre qāfila-hā-e-niyāz-o-nāz ke saath

    ye jañgaloñ masāfat ye naġhma-e-daf-o-chañg

    ye vādiyoñ meñ iqāmat surūd-o-sāz ke saath

    vo vajd-o-hāl aalam vo raqs-e-darveshāñ

    shahān-e-nāz-o-gadāyān-e-be-niyāz ke saath

    ḳhushā vo bāñg-e-azāñ vo tarāna-e-nāqūs

    vo bandagī-e-sanam bandā-e-namāz ke saath

    har ik faqīr ke lab par ye nāra-e-mastān

    chale chalo adab-o-izz-o-imtiyāz ke saath

    ye shahr shahr-e-bala bhi hai kina-saz ke sath

    nikal chalo kisi mahbub-e-dil-nawaz ke sath

    yahi nawa-e-adam hai yahi nawazish-e-kun

    KHusha hikayat-e-nai harf-e-nai-nawaz ke sath

    su-e-nigar-o-su-e-shahr-e-zar-nigar chalen

    qalandran-e-hawasnak-o-pak-baz ke sath

    salam ham-nafaso al-firaq ham-safaro

    safar hai dur ka wo bhi rah-e-daraaz ke sath

    ye KHirqa-posh faqiran-e-KHariq-ul-adat

    hamare qafila-ha-e-niyaz-o-naz ke sath

    ye jangalon ki masafat ye naghma-e-daf-o-chang

    ye wadiyon mein iqamat surud-o-saz ke sath

    wo wajd-o-haal ka aalam wo raqs-e-darweshan

    shahan-e-naz-o-gadayan-e-be-niyaz ke sath

    KHusha wo bang-e-azan wo tarana-e-naqus

    wo bandagi-e-sanam banda-e-namaz ke sath

    har ek faqir ke lab par ye nara-e-mastan

    chale chalo adab-o-izz-o-imtiyaz ke sath

    Source :
    • Book : Hikayat-e-ne (Pg. 23)
    • Author : Rais Amrohvi
    • Publication : Rais Acadami, Garden Est, krachis (1975)
    • Edition : 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now