ye shahr to hamein sahra dikhai deta hai
ye shahr to hameñ sahrā dikhā.ī detā hai
yahāñ har aadmī tanhā dikhā.ī detā hai
vo rāhbar ho ki rahzan ho yā rafīq-e-safar
hameñ to ek hī jaisā dikhā.ī detā hai
jo ḳhud-numā.ī kī farzī bulandiyoñ par hai
use har aadmī baunā dikhā.ī detā hai
nasheb-e-aql ke zindāniyoñ ko kyā mā'lūm
farāz-e-dār se kyā kyā dikhā.ī detā hai
basā.e rahtā hai yādoñ kī anjuman dil meñ
vo ek shaḳhs jo tanhā dikhā.ī detā hai
batā.ūñ kyā ki guzartī hai kyā mire dil par
chaman meñ jab bhī ujālā dikhā.ī detā hai
ye daur vo hai ki har lamha-e-hayāt hameñ
hamāre ḳhuun kā pyāsā dikhā.ī detā hai
usī ke zahr ke maare hue haiñ ham sab log
jo dekhne meñ masīhā dikhā.ī detā hai
jahāñ pe Dūbte sūraj kā 'aks thā larzāñ
vahīñ se chāñd ubhartā dikhā.ī detā hai
ye dekhte hī kahā dil ne mere saaqī ko
ye vaisā hai nahīñ jaisā dikhā.ī detā hai
ye shahr to hamein sahra dikhai deta hai
yahan har aadmi tanha dikhai deta hai
wo rahbar ho ki rahzan ho ya rafiq-e-safar
hamein to ek hi jaisa dikhai deta hai
jo KHud-numai ki farzi bulandiyon par hai
use har aadmi bauna dikhai deta hai
nasheb-e-aql ke zindaniyon ko kya ma'lum
faraaz-e-dar se kya kya dikhai deta hai
basae rahta hai yaadon ki anjuman dil mein
wo ek shaKHs jo tanha dikhai deta hai
bataun kya ki guzarti hai kya mere dil par
chaman mein jab bhi ujala dikhai deta hai
ye daur wo hai ki har lamha-e-hayat hamein
hamare KHun ka pyasa dikhai deta hai
usi ke zahr ke mare hue hain hum sab log
jo dekhne mein masiha dikhai deta hai
jahan pe Dubte suraj ka 'aks tha larzan
wahin se chand ubharta dikhai deta hai
ye dekhte hi kaha dil ne mere saqi ko
ye waisa hai nahin jaisa dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.