ye shishe dil ke jo bikhre hue hain
ye shishe dil ke jo bikhre hue hain
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
ye shīshe dil ke jo bikhre hue haiñ
tumhāre ishq meñ TuuTe hue haiñ
abhī bhī vaqt hai tum lauT aao
tumhāre vāste Thahre hue haiñ
ye sach hai bachpanā kīchaḌ meñ biitā
batāo kab magar maile hue haiñ
ye hijrat sirf hijrat hī nahīñ hai
hamārī ruuh ke TukḌe hue haiñ
haqīqat bolne vaale jahāñ meñ
batāo kab kise pyāre hue haiñ
ye shishe dil ke jo bikhre hue hain
tumhaare ishq mein TuTe hue hain
abhi bhi waqt hai tum lauT aao
tumhaare waste Thahre hue hain
ye sach hai bachpana kichaD mein bita
batao kab magar maile hue hain
ye hijrat sirf hijrat hi nahin hai
hamari ruh ke TukDe hue hain
haqiqat bolne wale jahan mein
batao kab kise pyare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.