ye sim-o-zar to hain aasaish-e-jahan ke liye
ye sim-o-zar to hain aasaish-e-jahan ke liye
Jagdish Sahay Saxena
MORE BYJagdish Sahay Saxena
ye sīm-o-zar to haiñ āsā.ish-e-jahāñ ke liye
mujhe hai ġham kī zarūrat sukūn-e-jāñ ke liye
nirālā merī fuġhāñ kā hai dosto andāz
maiñ kar rahā huuñ fuġhāñ ruḳhsat-e-fuġhāñ ke liye
tumhāre ishq se baḌh kar vatan kī ulfat hai
yahī hai turra-e-izzat har ik javāñ ke liye
vo kyā kareñge mohabbat hamāre gulshan se
jo DhūñDte haiñ chaman aur āshiyāñ ke liye
chaman meñ ḳhaar yahī pūchhte haiñ phūloñ se
bahār aa.ī hai kyā saare gulsitāñ ke liye
fanā-pazīr hai phūloñ kā rang murġh-e-qafas
hameshgī hai tire chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ke liye
yahāñ se jaane ko hotā nahīñ hai jī hargiz
sarā.e kis ne sajā.ī ye mehmāñ ke liye
ye sim-o-zar to hain aasaish-e-jahan ke liye
mujhe hai gham ki zarurat sukun-e-jaan ke liye
nirala meri fughan ka hai dosto andaz
main kar raha hun fughan ruKHsat-e-fughan ke liye
tumhaare ishq se baDh kar watan ki ulfat hai
yahi hai turra-e-izzat har ek jawan ke liye
wo kya karenge mohabbat hamare gulshan se
jo DhunDte hain chaman aur aashiyan ke liye
chaman mein KHar yahi puchhte hain phulon se
bahaar aai hai kya sare gulsitan ke liye
fana-pazir hai phulon ka rang murgh-e-qafas
hameshgi hai tere chashm-e-KHun-fishan ke liye
yahan se jaane ko hota nahin hai ji hargiz
sarae kis ne sajai ye mehman ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.