ye sina ishq se mahrum-e-dard-o-dagh nahin
ye sina ishq se mahrum-e-dard-o-dagh nahin
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
ye siina 'ishq se mahrūm-e-dard-o-dāġh nahīñ
hazār shukr ki ye mulk be-charāġh nahīñ
mat iḳhtilāt kar ai nau-bahār ab ham se
chaman ke hone kā is ḳhaak ko dimāġh nahīñ
ye bulbuloñ kā sabā mash.had-e-muqaddas hai
qadam sañbhāl ke rakhiyo tirā ye baaġh nahīñ
ḳhudā kare ki ye raushan rahe qayāmat tak
charāġh-e-gor hai mastoñ kā ye ayāġh nahīñ
galī meñ yaar kī dil bhuul jā paḌā thā 'yaqīñ'
phir un dinoñ se divāne kā kuchh surāġh nahīñ
ye sina 'ishq se mahrum-e-dard-o-dagh nahin
hazar shukr ki ye mulk be-charagh nahin
mat iKHtilat kar ai nau-bahaar ab hum se
chaman ke hone ka is KHak ko dimagh nahin
ye bulbulon ka saba mashhad-e-muqaddas hai
qadam sanbhaal ke rakhiyo tera ye bagh nahin
KHuda kare ki ye raushan rahe qayamat tak
charagh-e-gor hai maston ka ye ayagh nahin
gali mein yar ki dil bhul ja paDa tha 'yaqin'
phir un dinon se diwane ka kuchh suragh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.