ye silsila-e-sham-o-sahar yunhi nahin hai
ye silsila-e-shām-o-sahar yūñhī nahīñ hai
har qāfila sargarm-e-safar yūñhī nahīñ hai
hañgāme bapā kartī hai har aan tirī yaad
pur-shor dil-o-jāñ kā nagar yūñhī nahīñ hai
tārīḳh sunā saktī hai sadiyoñ ke safar kī
ye gard sar-e-rāhguzar yūñhī nahīñ hai
ubhregā yaqīnan koī dam meñ koī sūraj
betābī-e-arbāb-e-nazar yūñhī nahīñ hai
manzil bhī koī ḳhaas milegī hameñ 'rūhī'
dushvār se dushvār safar yūñhī nahīñ hai
ye silsila-e-sham-o-sahar yunhi nahin hai
har qafila sargarm-e-safar yunhi nahin hai
hangame bapa karti hai har aan teri yaad
pur-shor dil-o-jaan ka nagar yunhi nahin hai
tariKH suna sakti hai sadiyon ke safar ki
ye gard sar-e-rahguzar yunhi nahin hai
ubhrega yaqinan koi dam mein koi suraj
betabi-e-arbab-e-nazar yunhi nahin hai
manzil bhi koi KHas milegi hamein 'ruhi'
dushwar se dushwar safar yunhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.