ye sitam bhi KHub Thahra lutf farmane ke baad
ye sitam bhī ḳhuub Thahrā lutf farmāne ke ba.ad
jald jaane kā taqāzā der se aane ke ba.ad
ik qalandar so gayā ham ko ye samjhāne ke ba.ad
umr kā shikva na karnā umr Dhal jaane ke ba.ad
aaj bhī is gul-badan ko DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ
ho gayā ruḳhsat jo mere dil ko mahkāne ke ba.ad
dāstān-e-dil sabhī kī miltī jultī hai yahāñ
chheḌ mat apnī kahānī us ke afsāne ke ba.ad
ishq ke sahrā meñ haiñ saarī bahāreñ qais se
koī dīvāna na dekhā aise dīvāne ke ba.ad
itnā āsāñ bhī nahīñ hai ai qalam ke rustamo
sub.h kā afsāna likhnā shab ke afsāne ke ba.ad
umr saarī kaaT dī āvāragardī meñ yūñhī
lauT kar aayā na maiñ ghar se nikal jaane ke ba.ad
pai-ba-pai us ko pilātā huuñ mai-e-ishq-e-vafā
hosh meñ aatā hai vo mad.hosh ho jaane ke ba.ad
apnā ḳhūn-e-dil jo bhar dete haiñ naqsh-e-vaqt meñ
zinda rahte haiñ vahī kirdār mar jaane ke ba.ad
jhuuT oḌhe bhiiḌ meñ tum rahte āḳhir kab talak
ho ga.e tanhā balā se sach ko apnāne ke ba.ad
aaj kā shā.ir bhī ai 'shībān' tājir ho gayā
jeb bhar kar jā rahā hai ik ġhazal gaane ke ba.ad
ye sitam bhi KHub Thahra lutf farmane ke baad
jald jaane ka taqaza der se aane ke baad
ek qalandar so gaya hum ko ye samjhane ke baad
umr ka shikwa na karna umr Dhal jaane ke baad
aaj bhi is gul-badan ko DhunDhta phirta hun main
ho gaya ruKHsat jo mere dil ko mahkane ke baad
dastan-e-dil sabhi ki milti julti hai yahan
chheD mat apni kahani us ke afsane ke baad
ishq ke sahra mein hain sari bahaaren qais se
koi diwana na dekha aise diwane ke baad
itna aasan bhi nahin hai ai qalam ke rustamo
subh ka afsana likhna shab ke afsane ke baad
umr sari kaT di aawaragardi mein yunhi
lauT kar aaya na main ghar se nikal jaane ke baad
pai-ba-pai us ko pilata hun mai-e-ishq-e-wafa
hosh mein aata hai wo madhosh ho jaane ke baad
apna KHun-e-dil jo bhar dete hain naqsh-e-waqt mein
zinda rahte hain wahi kirdar mar jaane ke baad
jhuT oDhe bhiD mein tum rahte aaKHir kab talak
ho gae tanha bala se sach ko apnane ke baad
aaj ka shair bhi ai 'shiban' tajir ho gaya
jeb bhar kar ja raha hai ek ghazal gane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.