ye sitam KHud pe hi Dhaya humne
ye sitam ḳhud pe hī Dhāyā ham ne
dil jo patthar se lagāyā ham ne
us kī tasvīr se bāteñ kar ke
dil kī duurī ko miTāyā ham ne
khul ga.e raaz to ehsās huā
saañp ko duudh pilāyā ham ne
ham se nazreñ na milā saktā thā
us ko kāñdhe pe biThāyā ham ne
qaid thā chāñd parindoñ jaisā
toḌ zanjīr uḌāyā ham ne
aa.ina dekh ke mahsūs huā
ḳhvāb be-vaqt sajāyā ham ne
ghar kī dīvār sadā detī hai
aur duniyā ko bulāyā ham ne
ḳhuun kā pyāsā jo kal tak thā 'asīm'
us ko siine se lagāyā ham ne
ye sitam KHud pe hi Dhaya hum ne
dil jo patthar se lagaya hum ne
us ki taswir se baaten kar ke
dil ki duri ko miTaya hum ne
khul gae raaz to ehsas hua
sanp ko dudh pilaya hum ne
hum se nazren na mila sakta tha
us ko kandhe pe biThaya hum ne
qaid tha chand parindon jaisa
toD zanjir uDaya hum ne
aaina dekh ke mahsus hua
KHwab be-waqt sajaya hum ne
ghar ki diwar sada deti hai
aur duniya ko bulaya hum ne
KHun ka pyasa jo kal tak tha 'asim'
us ko sine se lagaya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.