ye sitam ki mahfil-e-naz hai kalim isko aur sajae ja
ye sitam kī mahfil-e-nāz hai 'kalīm' is ko aur sajā.e jā
vo dikhā.eñ raqs-e-sitamgarī tū ġhazal kā saaz bajā.e jā
jo akaḌ ke shaan se jaa.e hai pyaar se ye batā.e jā
ki bulandiyoñ kī hai aarzū tū diloñ meñ pahle samā.e jā
vo jo zaḳhm deñ so qubūl hai tire vāste vahī phuul hai
yahī ahl-e-dil kā usuul hai vo rulā.e jaa.eñ tū gaa.e jā
tirā sīdhā sā vo bayān hai tirī TūTī-phūTī zabān hai
tire paas haiñ yahī Thekre tū mahal inhīñ se banā.e jā
vo jafā-shi.ār o sitam-adā tū suḳhan-tarāz o ġhazal-sarā
vo tamām kāñTe ugā.eñge tū tamām phuul khilā.e jā
koī laakh zohra-jabīn hai jise chāheñ ham vo hasīn hai
'kalīm' us sarāpā ġhurūr ko zarā aa.ina to dikhā.e jā
ye sitam ki mahfil-e-naz hai 'kalim' is ko aur sajae ja
wo dikhaen raqs-e-sitamgari tu ghazal ka saz bajae ja
jo akaD ke shan se jae hai pyar se ye batae ja
ki bulandiyon ki hai aarzu tu dilon mein pahle samae ja
wo jo zaKHm den so qubul hai tere waste wahi phul hai
yahi ahl-e-dil ka usul hai wo rulae jaen tu gae ja
tera sidha sa wo bayan hai teri TuTi-phuTi zaban hai
tere pas hain yahi Thekre tu mahal inhin se banae ja
wo jafa-shiar o sitam-ada tu suKHan-taraaz o ghazal-sara
wo tamam kanTe ugaenge tu tamam phul khilae ja
koi lakh zohra-jabin hai jise chahen hum wo hasin hai
'kalim' us sarapa ghurur ko zara aaina to dikhae ja
- Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 275)
- Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
- Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.