ye sitam uf aatish-e-didar bhaDkane ke baad
ye sitam uf ātish-e-dīdār bhaḌkāne ke baad
ho ga.e rū-posh vo ik jalva dikhlāne ke baad
āh-e-sozāñ kā shahīdoñ kī asar to dekhiye
ḳhud bhī qātil hai pashemāñ qatl farmāne ke baad
tere dam se thī bahār-e-zindagī jān-e-bahār
zindagī bār-e-garāñ hai ab tire jaane ke baad
maiñ thā dīvāna tirī ik ik adā kā fitna-gar
phir mujhe kyā hosh rahtā aañkh laḌ jaane ke baad
āḳhirī dam intizār ab kyā kisī kā ai 'naresh'
ab koī aa.e na aa.e dam nikal jaane ke baad
ye sitam uf aatish-e-didar bhaDkane ke baad
ho gae ru-posh wo ek jalwa dikhlane ke baad
aah-e-sozan ka shahidon ki asar to dekhiye
KHud bhi qatil hai pasheman qatl farmane ke baad
tere dam se thi bahaar-e-zindagi jaan-e-bahaar
zindagi bar-e-garan hai ab tere jaane ke baad
main tha diwana teri ek ek ada ka fitna-gar
phir mujhe kya hosh rahta aankh laD jaane ke baad
aaKHiri dam intizar ab kya kisi ka ai 'naresh'
ab koi aae na aae dam nikal jaane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.