ye soch rakha hai koi shikwa nahin karunga
ye soch rakhā hai koī shikva nahīñ karūñgā
maiñ apnī ġhairat mazīd rusvā nahīñ karūñgā
mirī vafā.eñ tire ravayye pe munhasir haiñ
vafā karūñgā magar ye va.ada nahīñ karūñgā
nahīñ sunā.ūñgā ab gulāboñ ko terā qissa
maiñ titliyoñ se bhī terā charchā nahīñ karūñgā
vo ik masīhā jo saarī bastī kā chārāgar hai
vo mujh se kahtā hai tujh ko achchhā nahīñ karūñgā
tum ab ke mujh ko jo rāste meñ kahīñ miloge
to dekh lenā koī ishāra nahīñ karūñgā
baḌī ummīdoñ se maiñ ne pūchhā vafā karoge
baḌe tafāḳhur se mujh se bolā nahīñ karūñgā
kisī ke Dar se maiñ jān-e-'nāsir' ko dost kah duuñ
muaaf kījegā hargiz aisā nahīñ karūñgā
ye soch rakha hai koi shikwa nahin karunga
main apni ghairat mazid ruswa nahin karunga
meri wafaen tere rawayye pe munhasir hain
wafa karunga magar ye wada nahin karunga
nahin sunaunga ab gulabon ko tera qissa
main titliyon se bhi tera charcha nahin karunga
wo ek masiha jo sari basti ka chaaragar hai
wo mujh se kahta hai tujh ko achchha nahin karunga
tum ab ke mujh ko jo raste mein kahin miloge
to dekh lena koi ishaara nahin karunga
baDi ummidon se main ne puchha wafa karoge
baDe tafaKHur se mujh se bola nahin karunga
kisi ke Dar se main jaan-e-'nasir' ko dost kah dun
muaf kijega hargiz aisa nahin karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.