ye soch soch ke bismil pe kya guzarti hai
ye soch soch ke bismil pe kyā guzartī hai
ki dast-o-bāzū-e-qātil pe kyā guzartī hai
jo mere saath chalo chāñdnī kī sair ko tum
to dekhnā mah-e-kāmil pe kyā guzartī hai
merī tabāhī pe muñh pher kar na hañs ai dost
nazar milā ke tū kah dil pe kyā guzartī hai
charāġh bujh ga.e parvāne jal ke ḳhaak hue
na pūchh sāhab-e-mahfil pe kyā guzartī hai
jo hañs ke Duub ga.e haa.e un ko kyā mālūm
ki ab safīna-o-sāhil pe kyā guzartī hai
surūr-e-fāteh-e-manzil ke dekhne vaalo
ġhurūr-e-azmat-e-manzil pe kyā guzartī hai
tamāsha dekhne vaale samajh nahīñ sakte
tirī nazar pe mire dil pe kyā guzartī hai
ye soch soch ke bismil pe kya guzarti hai
ki dast-o-bazu-e-qatil pe kya guzarti hai
jo mere sath chalo chandni ki sair ko tum
to dekhna mah-e-kaamil pe kya guzarti hai
meri tabahi pe munh pher kar na hans ai dost
nazar mila ke tu kah dil pe kya guzarti hai
charagh bujh gae parwane jal ke KHak hue
na puchh sahab-e-mahfil pe kya guzarti hai
jo hans ke Dub gae hae un ko kya malum
ki ab safina-o-sahil pe kya guzarti hai
surur-e-fateh-e-manzil ke dekhne walo
ghurur-e-azmat-e-manzil pe kya guzarti hai
tamasha dekhne wale samajh nahin sakte
teri nazar pe mere dil pe kya guzarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.