ye sochiye ki kyon hawa pe zor chal nahin raha
ye sochiye ki kyoñ havā pe zor chal nahīñ rahā
kisī bhī ruḳh se aap kā charāġh jal nahīñ rahā
ġhalat hai ye ki vaqt kī jabīñ pe bal nahīñ rahā
magar ye pahlī baar hai ki bal nikal nahīñ rahā
maiñ āzmā.ishoñ meñ us maqām tak to aa ga.ī
ki aag meñ khaḌī huuñ aur jism jal nahīñ rahā
safar meñ ek hujūm thā magar ye raaz ab khulā
ki koī bhī yahāñ kisī ke saath chal nahīñ rahā
harārateñ to aa ga.iiñ tamāzatoñ talak magar
hai darmiyāñ jo barf ki pahāḌ gal nahīñ rahā
ye sochiye ki kyon hawa pe zor chal nahin raha
kisi bhi ruKH se aap ka charagh jal nahin raha
ghalat hai ye ki waqt ki jabin pe bal nahin raha
magar ye pahli bar hai ki bal nikal nahin raha
main aazmaishon mein us maqam tak to aa gai
ki aag mein khaDi hun aur jism jal nahin raha
safar mein ek hujum tha magar ye raaz ab khula
ki koi bhi yahan kisi ke sath chal nahin raha
hararaten to aa gain tamazaton talak magar
hai darmiyan jo barf ki pahaD gal nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.