ye sochna bhi ghalat hai ki dil-nashin hai bahut
ye sochnā bhī ġhalat hai ki dil-nashīñ hai bahut
kamāl-e-duniyā to itnā hai be-yaqīñ hai bahut
kahīñ jhulas hī na jaa.e ġhubār yādoñ kā
ki mere ḳhuun kī raftār ātishīñ hai bahut
gumān hone lagā hai ye kis ke hone par
kahīñ kahīñ jo nahīñ hai kahīñ kahīñ hai bahut
shikast khaa.ī hai lekin shikasta-pā to nahīñ
hamāre paañv ke nīche abhī zamīñ hai bahut
bikher de na kahīñ phir matā’-e-dīda-o-dil
vo ek ḳhvāb jo āñkhoñ meñ jāguzīñ hai bahut
zarar-risāñ na huā kuchh mirā ġhanīm magar
kise ḳhabar thī ki mujh ko ye āstīñ hai bahut
hamārā dil bhī dikhātā hai nit-na.e kartab
tumhārā dil bhī to shāyad tamāsh-bīñ hai bahut
ye sochna bhi ghalat hai ki dil-nashin hai bahut
kamal-e-duniya to itna hai be-yaqin hai bahut
kahin jhulas hi na jae ghubar yaadon ka
ki mere KHun ki raftar aatishin hai bahut
guman hone laga hai ye kis ke hone par
kahin kahin jo nahin hai kahin kahin hai bahut
shikast khai hai lekin shikasta-pa to nahin
hamare panw ke niche abhi zamin hai bahut
bikher de na kahin phir mata’-e-dida-o-dil
wo ek KHwab jo aankhon mein jaguzin hai bahut
zarar-risan na hua kuchh mera ghanim magar
kise KHabar thi ki mujh ko ye aastin hai bahut
hamara dil bhi dikhata hai nit-nae kartab
tumhaara dil bhi to shayad tamash-bin hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.