ye sochta hun ki KHud aarif-e-hayat bhi hai
ye sochtā huuñ ki ḳhud ārif-e-hayāt bhī hai
bashar jo mahram-e-asrār-e-kā.enāt bhī hai
nafas nafas meñ rahe kyoñ na ik jahān-e-sifāt
mirī nigāh meñ tanvīr-e-husn-e-zāt bhī hai
diloñ ko mil nahīñ saktī thī ishrat-e-abadī
hazār shukr mohabbat meñ ġham kī raat bhī hai
vo ik ḳhayāl ki jis ne ġham-e-hayāt diyā
vahī ḳhayāl ilāj-e-ġham-e-hayāt bhī hai
jo sirr-e-ishq bhī hai rāz-e-husn-e-jānāñ bhī
yaqīñ karo mire dil meñ ik aisī baat bhī hai
ye har gunah pe jo ehsās hai nadāmat kā
mujhe to 'kaif' yahī hīla-e-najāt bhī hai
ye sochta hun ki KHud aarif-e-hayat bhi hai
bashar jo mahram-e-asrar-e-kaenat bhi hai
nafas nafas mein rahe kyon na ek jahan-e-sifat
meri nigah mein tanwir-e-husn-e-zat bhi hai
dilon ko mil nahin sakti thi ishrat-e-abadi
hazar shukr mohabbat mein gham ki raat bhi hai
wo ek KHayal ki jis ne gham-e-hayat diya
wahi KHayal ilaj-e-gham-e-hayat bhi hai
jo sirr-e-ishq bhi hai raaz-e-husn-e-jaanan bhi
yaqin karo mere dil mein ek aisi baat bhi hai
ye har gunah pe jo ehsas hai nadamat ka
mujhe to 'kaif' yahi hila-e-najat bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.