ye sochte hue bazar se nikal aaya
ye sochte hue bāzār se nikal aayā
na jaane aadmī kyuuñ ġhaar se nikal aayā
ḳhabar nahīñ hai ki phir bādshāh pe kyā guzrī
ġhazal sunā ke maiñ darbār se nikal aayā
sabhī khaḌe the khulegā abhī dar-e-zindāñ
maiñ jald-bāzī meñ dīvār se nikal aayā
ḳhabar ġhalat hai maiñ ye baat kahne vaalā thā
ki ik revolver aḳhbār se nikal aayā
suḳhan ko na.ara qalam ko alam banāte hue
sukūt-e-hujra-e-fankār se nikal aayā
ajab nahīñ hai ki bāzār ko bahā le jaa.e
jo ashk chashm-e-ḳharīdār se nikal aayā
ye sochte hue bazar se nikal aaya
na jaane aadmi kyun ghaar se nikal aaya
KHabar nahin hai ki phir baadshah pe kya guzri
ghazal suna ke main darbar se nikal aaya
sabhi khaDe the khulega abhi dar-e-zindan
main jald-bazi mein diwar se nikal aaya
KHabar ghalat hai main ye baat kahne wala tha
ki ek rewolwer aKHbar se nikal aaya
suKHan ko nara qalam ko alam banate hue
sukut-e-hujra-e-fankar se nikal aaya
ajab nahin hai ki bazar ko baha le jae
jo ashk chashm-e-KHaridar se nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.