ye sog KHatm kiya jae ya kiya jae
ye sog ḳhatm kiyā jaa.e yā kiyā jaa.e
tumhāre hijr ko gañgā bahā diyā jaa.e
haiñ kāmyābī pe hāsid shikast par barham
batāo aise mizājoñ kā kyā kiyā jaa.e
na-jāne kitne masā.ib se jaan baḳhshī ho
kisī ko vaqt se pahle hī ro liyā jaa.e
ye sard shaam jo kohre meñ lipTī jaatī hai
to kyā ḳhayāl hai 'nusrat' lagā diyā jaa.e
ye sog KHatm kiya jae ya kiya jae
tumhaare hijr ko ganga baha diya jae
hain kaamyabi pe hasid shikast par barham
batao aise mizajon ka kya kiya jae
na-jaane kitne masaib se jaan baKHshi ho
kisi ko waqt se pahle hi ro liya jae
ye sard sham jo kohre mein lipTi jati hai
to kya KHayal hai 'nusrat' laga diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.