ye subh ki ghaDi hai dua karne wala hun
ye sub.h kī ghaḌī hai du'ā karne vaalā huuñ
irsāl terī samt sabā karne vaalā huuñ
us ko dikhā rahā huuñ mohabbat kā rāsta
huuñ niiñd meñ par us kā bhalā karne vaalā huuñ
vājib se bhī buland zarā sī hai zindagī
farz-e-kifāya hai so adā karne vaalā huuñ
alfāz meñ bhī zikr tirā de rahā hai lau
irsāl koī ḳhat meñ diyā karne vaalā huuñ
dekhūñgā kaise karnī hai us se mufāhamat
filhāl koī dard baḌā karne vaalā huuñ
ye rang hai nayā koī mumTī ke ird-gird
pahle kabūtaroñ ko rihā karne vaalā huuñ
maiñ rakh rahā huuñ dast-e-hinā.ī pe chand phuul
phūloñ kī aur lā’līñ qabā karne vaalā huuñ
denā hai in ḳhayāloñ ko lafzoñ kā pairahan
apnī taraf se qaid havā karne vaalā huuñ
ye aaj kā hai tujh se mirā āḳhirī kalām
yā'nī adā namāz-e-'ishā karne vaalā huuñ
ye subh ki ghaDi hai du'a karne wala hun
irsal teri samt saba karne wala hun
us ko dikha raha hun mohabbat ka rasta
hun nind mein par us ka bhala karne wala hun
wajib se bhi buland zara si hai zindagi
farz-e-kifaya hai so ada karne wala hun
alfaz mein bhi zikr tera de raha hai lau
irsal koi KHat mein diya karne wala hun
dekhunga kaise karni hai us se mufahamat
filhaal koi dard baDa karne wala hun
ye rang hai naya koi mumTi ke ird-gird
pahle kabutaron ko riha karne wala hun
main rakh raha hun dast-e-hinai pe chand phul
phulon ki aur la’lin qaba karne wala hun
dena hai in KHayalon ko lafzon ka pairahan
apni taraf se qaid hawa karne wala hun
ye aaj ka hai tujh se mera aaKHiri kalam
ya'ni ada namaz-e-'isha karne wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.