ye sulagti sham pe jalti sahar dekhega kaun
ye sulagtī shaam pe jaltī sahar dekhegā kaun
aur vo bhī raushnī ke naam par dekhegā kaun
kuchh na kah kar bhī bahut kuchh kah diyā ham ne magar
bolne ke shauq meñ chup kā hunar dekhegā kaun
raushnī ke vāste ḳhud phūñk Daalā apnā ghar
dīdanī hai ye tamāshā bhī magar dekhegā kaun
chhoḌ kar rahbar mujhe ab apnī apnī raah leñ
manziloñ ke naam par gard-e-safar dekhegā kaun
sochte haiñ lauT jaa.eñ phir se jangal kī taraf
bastiyoñ meñ rāt-din raqs-e-sharar dekhegā kaun
Duub jaanā paar hone se bhī hai behtar magar
kaun 'farhat' kī sunegā Duub kar dekhegā kaun
ye sulagti sham pe jalti sahar dekhega kaun
aur wo bhi raushni ke nam par dekhega kaun
kuchh na kah kar bhi bahut kuchh kah diya hum ne magar
bolne ke shauq mein chup ka hunar dekhega kaun
raushni ke waste KHud phunk Dala apna ghar
didani hai ye tamasha bhi magar dekhega kaun
chhoD kar rahbar mujhe ab apni apni rah len
manzilon ke nam par gard-e-safar dekhega kaun
sochte hain lauT jaen phir se jangal ki taraf
bastiyon mein raat-din raqs-e-sharar dekhega kaun
Dub jaana par hone se bhi hai behtar magar
kaun 'farhat' ki sunega Dub kar dekhega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.