ye surKH aankhen udas le kar kahan chale ho
ye surḳh āñkheñ udaas le kar kahāñ chale ho
ki ḳhvāhish-e-be-libās le kar kahāñ chale ho
hameñ to darpesh ek vahshat hai tum batāo
ye ḳhushk hoñToñ pe pyaas le kar kahāñ chale ho
abhī to ham mubtalā hue haiñ fidā hue haiñ
hamāre hosh-o-havās le kar kahāñ chale ho
yahāñ adāvat-pasand logoñ kī bhiiḌ hai tum
dil-e-mohabbat-shanās le kar kahāñ chale ho
ye surKH aankhen udas le kar kahan chale ho
ki KHwahish-e-be-libas le kar kahan chale ho
hamein to darpesh ek wahshat hai tum batao
ye KHushk honTon pe pyas le kar kahan chale ho
abhi to hum mubtala hue hain fida hue hain
hamare hosh-o-hawas le kar kahan chale ho
yahan adawat-pasand logon ki bhiD hai tum
dil-e-mohabbat-shanas le kar kahan chale ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.