ye taDap hai lazzat-e-zindagi ye KHalish nahin to maza nahin
ye taDap hai lazzat-e-zindagi ye KHalish nahin to maza nahin
Shafeeq Barelvi
MORE BYShafeeq Barelvi
ye taḌap hai lazzat-e-zindagī ye ḳhalish nahīñ to mazā nahīñ
maiñ huuñ fitratan alam-āshnā mire dukh kī koī davā nahīñ
yūñhī vāqi.āt ke zail meñ kahīñ terā naam bhī aa gayā
mirī hasratoñ kā thā tazkira tirī be-ruḳhī kā gila nahīñ
mirī shustagī-e-mazāq ne mujhe har balā se bachā liyā
maiñ junūñ kī zad meñ na aa sakā maiñ hadaf ḳhirad kā banā nahīñ
mirā zauq ḳhud mirā rāhbar mirā shauq ḳhud mirā rahnumā
use ho zarūrat-e-nā-ḳhudā jise e'timād-e-ḳhudā nahīñ
abhī aur talḳhī-e-soz ko zarā rang-e-naġhma-e-sāz de
jo mizāj-e-husn pe baar hoñ yahāñ aise ashk ravā nahīñ
maiñ 'shafīq' hasrat-o-yās-o-ġham ke na gā.ūñ giit to kyā karūñ
koī sāz-e-aish-o-tarab nahīñ koī dil-navāz sadā nahīñ
ye taDap hai lazzat-e-zindagi ye KHalish nahin to maza nahin
main hun fitratan alam-ashna mere dukh ki koi dawa nahin
yunhi waqiat ke zail mein kahin tera nam bhi aa gaya
meri hasraton ka tha tazkira teri be-ruKHi ka gila nahin
meri shustagi-e-mazaq ne mujhe har bala se bacha liya
main junun ki zad mein na aa saka main hadaf KHirad ka bana nahin
mera zauq KHud mera rahbar mera shauq KHud mera rahnuma
use ho zarurat-e-na-KHuda jise e'timad-e-KHuda nahin
abhi aur talKHi-e-soz ko zara rang-e-naghma-e-saz de
jo mizaj-e-husn pe bar hon yahan aise ashk rawa nahin
main 'shafiq' hasrat-o-yas-o-gham ke na gaun git to kya karun
koi saz-e-aish-o-tarab nahin koi dil-nawaz sada nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.