ye tai hai main apne mutabiq nahin tha
ye tai hai maiñ apne mutābiq nahīñ thā
to kyā zindagī ke muāfiq nahīñ thā
na.ī to yahāñ ek shai bhī nahīñ thī
magar kuchh yahāñ hasab-e-sābiq nahīñ thā
tumhārī har ik baat jhūTī bhī sach hai
mire dosto maiñ hī sādiq nahīñ thā
kisī kī nazar kār-farmā thī mujh meñ
muqallid rahā huuñ muhaqqiq nahīñ thā
thā shahr-e-mohabbat mohabbat se ḳhālī
vahāñ aaj bhī terā āshiq nahīñ thā
faqat bhuuk hī panje gaaḌe khaḌī thī
bahut saarī jag.hoñ pe rāziq nahīñ thā
'sahar' vo sarāpā maiñ likhtā bhī kaise
koī lafz bhī us ke laa.eq nahīñ thā
ye tai hai main apne mutabiq nahin tha
to kya zindagi ke muafiq nahin tha
nai to yahan ek shai bhi nahin thi
magar kuchh yahan hasab-e-sabiq nahin tha
tumhaari har ek baat jhuTi bhi sach hai
mere dosto main hi sadiq nahin tha
kisi ki nazar kar-farma thi mujh mein
muqallid raha hun muhaqqiq nahin tha
tha shahr-e-mohabbat mohabbat se KHali
wahan aaj bhi tera aashiq nahin tha
faqat bhuk hi panje gaDe khaDi thi
bahut sari jaghon pe raaziq nahin tha
'sahar' wo sarapa main likhta bhi kaise
koi lafz bhi us ke laeq nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.