ye tajraba bhi adawat mein kuchh naya nahin tha

ye tajraba bhi adawat mein kuchh naya nahin tha
Mazhar Husain Syed
MORE BYMazhar Husain Syed
ye tajraba bhī 'adāvat meñ kuchh nayā nahīñ thā
vo lafz us ne sunā maiñ ne jo kahā nahīñ thā
mujhe ḳhabar thī ki ye baat phail jā.egī
maiñ is liye tire baare meñ sochtā nahīñ thā
qalam hue haiñ mire haath varna duniyā ko
na.e sire se banānā bhī mas.ala nahīñ thā
maiñ pahlā shaḳhs huuñ jo is jagah se guzrā huuñ
yaqīn kar ki yahāñ koī rāsta nahīñ thā
sabhī ko 'izzat-o-shohrat kī bhuuk le Duubī
suḳhan meñ ḳhauf thā lahje meñ dabdaba nahīñ thā
'ajīb log the murdoñ se baat karte the
jo mar rahe the unheñ koī pūchhtā nahīñ thā
tumhāre saath to har marhale pe ham bhī the
hameñ bhī dekh kisī kā bhī aasrā nahīñ thā
ye tajraba bhi 'adawat mein kuchh naya nahin tha
wo lafz us ne suna main ne jo kaha nahin tha
mujhe KHabar thi ki ye baat phail jaegi
main is liye tere bare mein sochta nahin tha
qalam hue hain mere hath warna duniya ko
nae sire se banana bhi masala nahin tha
main pahla shaKHs hun jo is jagah se guzra hun
yaqin kar ki yahan koi rasta nahin tha
sabhi ko 'izzat-o-shohrat ki bhuk le Dubi
suKHan mein KHauf tha lahje mein dabdaba nahin tha
'ajib log the murdon se baat karte the
jo mar rahe the unhen koi puchhta nahin tha
tumhaare sath to har marhale pe hum bhi the
hamein bhi dekh kisi ka bhi aasra nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.