Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye tajraba bhi hai humne faqat suna hi nahin

Rabab Rashidi

ye tajraba bhi hai humne faqat suna hi nahin

Rabab Rashidi

MORE BYRabab Rashidi

    ye tajraba bhī hai ham ne faqat sunā nahīñ

    gumān shauq se baḌh kar yaqīñ huā nahīñ

    havā hai tez to ho bādbāñ khule raheñ

    ḳhudā bhī hai mire hamrāh nāḳhudā nahīñ

    ye aur baat añdhere haiñ merī āñkhoñ meñ

    charāġh-e-dil to kisī daur meñ bujhā nahīñ

    chamakne vaale sitāre bahut ġhanīmat haiñ

    ye ġham-gusār bhī haiñ dard-āshnā nahīñ

    ham un baat ko phir aaj mo'atabar jāneñ

    ki bahalne ab aur rāsta nahīñ

    bulandiyoñ pe aksar hameñ nazar aaya

    magar vo shaḳhs kabhī shahr meñ milā nahīñ

    fazā meñ kitne ḳhayāloñ gard uḌtī hai

    'rabāb' ab koī ye baat sochtā nahīñ

    ye tajraba bhi hai hum ne faqat suna hi nahin

    guman shauq se baDh kar yaqin hua hi nahin

    hawa hai tez to ho baadban khule hi rahen

    KHuda bhi hai mere hamrah naKHuda hi nahin

    ye aur baat andhere hain meri aankhon mein

    charagh-e-dil to kisi daur mein bujha hi nahin

    chamakne wale sitare bahut ghanimat hain

    ye gham-gusar bhi hain dard-ashna hi nahin

    hum un ki baat ko phir aaj mo'atabar jaanen

    ki ji bahalne ka ab aur rasta hi nahin

    bulandiyon hi pe aksar hamein nazar aaya

    magar wo shaKHs kabhi shahr mein mila hi nahin

    faza mein kitne KHayalon ki gard uDti hai

    'rabab' ab koi ye baat sochta hi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now