ye tamanna hai ki main harf-e-wafa ho jaun
ye tamanna hai ki maiñ harf-e-vafā ho jā.ūñ
merī bāteñ raheñ be-shak maiñ fanā ho jā.ūñ
mere kirdār se achchhā.ī kī ḳhushbū aa.e
har burā.ī ke liye maiñ to burā ho jā.ūñ
sab ko bedār karūñ om kī āvāz se maiñ
vo jo aatī hai azaañ se vo sadā ho jā.ūñ
jis meñ tahzīboñ ke gul saath khilā karte the
phir mire mulk kī vo āb-o-havā ho jā.ūñ
vo jo hijrat ke sabab chhoḌ ga.e haiñ ghar ko
unhī bichhḌe hue apnoñ kā pata ho jā.ūñ
isī ummīd pe din kaaT diye haiñ maiñ ne
zindagī maiñ tirī rātoñ kā diyā ho jā.ūñ
ruuTh kar phir se chhupūñ ghar ke kisī kone meñ
ik khilaune ke liye sab se ḳhafā ho jā.ūñ
jo mujhe chhoḌ ke jaate haiñ vo panchhī sun leñ
kal na.ī rut meñ phaloñ se na ladā ho jā.ūñ
ret ke ghar jo banāte haiñ yahāñ sāhil par
unhī ma.asūm se bachchoñ kī duā ho jā.ūñ
ye tamanna hai ki main harf-e-wafa ho jaun
meri baaten rahen be-shak main fana ho jaun
mere kirdar se achchhai ki KHushbu aae
har burai ke liye main to bura ho jaun
sab ko bedar karun om ki aawaz se main
wo jo aati hai azan se wo sada ho jaun
jis mein tahzibon ke gul sath khila karte the
phir mere mulk ki wo aab-o-hawa ho jaun
wo jo hijrat ke sabab chhoD gae hain ghar ko
unhi bichhDe hue apnon ka pata ho jaun
isi ummid pe din kaT diye hain main ne
zindagi main teri raaton ka diya ho jaun
ruTh kar phir se chhupun ghar ke kisi kone mein
ek khilaune ke liye sab se KHafa ho jaun
jo mujhe chhoD ke jate hain wo panchhi sun len
kal nai rut mein phalon se na lada ho jaun
ret ke ghar jo banate hain yahan sahil par
unhi masum se bachchon ki dua ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.