Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye tamanna thi ki hum itne suKHanwar hote

Jafar Tahir

ye tamanna thi ki hum itne suKHanwar hote

Jafar Tahir

MORE BYJafar Tahir

    ye tamannā thī ki ham itne suḳhanvar hote

    ik ġhazal kahte to ābād ka.ī ghar hote

    dūriyāñ itnī diloñ meñ to na hotīñ yārab

    phail jaate ye jazīre to samundar hote

    apne hāthoñ pe muqaddar ke navishte bhī paḌh

    na sahī mā'nī zarā lafz to behtar hote

    dil pe ik vah.y aur ilhām rahtā hai samāñ

    ham agar rind na hote to payambar hote

    ham agar dil na jalāte to na jalte ye charāġh

    ham na rote jo lahū aa.ine meñ patthar hote

    ham agar jām-ba-kaf raqs na karte rahte

    terī rāhoñ meñ sitāre na gul-e-tar hote

    ghar banā baiThe bayābāñ meñ divāne varna

    paañv uTh jaate to jibrīl shahpar hote

    sūrateñ yuuñ to na yāroñ rulātī rahtīñ

    ai ġham-e-marg ye sadme to na dil par hote

    ham rahe garche tahī-dast jāfar-'tāhir'

    bas meñ ye baat bhī kab thī ki abūzar hote

    ye tamanna thi ki hum itne suKHanwar hote

    ek ghazal kahte to aabaad kai ghar hote

    duriyan itni dilon mein to na hotin yarab

    phail jate ye jazire to samundar hote

    apne hathon pe muqaddar ke nawishte bhi paDh

    na sahi ma'ni zara lafz to behtar hote

    dil pe ek wahy aur ilham ka rahta hai saman

    hum agar rind na hote to payambar hote

    hum agar dil na jalate to na jalte ye charagh

    hum na rote jo lahu aaine mein patthar hote

    hum agar jam-ba-kaf raqs na karte rahte

    teri rahon mein sitare na gul-e-tar hote

    ghar bana baiThe bayaban mein diwane warna

    panw uTh jate to jibril ka shahpar hote

    suraten yun to na yaron ki rulati rahtin

    ai gham-e-marg ye sadme to na dil par hote

    hum rahe garche tahi-dast hi jafar-'tahir'

    bas mein ye baat bhi kab thi ki abuzar hote

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now