ye tamkanat ye takabbur ye shan rahne do
ye tamkanat ye takabbur ye shaan rahne do
jo hai tumhāre bharam kā makān rahne do
savāl-e-umr na pesh aa.e nek maqsad meñ
irāde apne hamesha javān rahne do
inhīñ ko dekh ke pahuñchegī nasl manzil tak
har ik qadam pe lahū ke nishān rahne de
havā kā ruḳh ho muāfiq ye intizār karo
abhī lapeTe hue bādbān rahne do
ḳhushī ke saath uḌaao gulāl sū-e-falak
magar ye sun lo zamīñ par amaan rahne do
kisī kī baat sukūñ kā sabab hai ai 'shādāñ'
mirī zabāñ pe ye ik dāstān rahne do
ye tamkanat ye takabbur ye shan rahne do
jo hai tumhaare bharam ka makan rahne do
sawal-e-umr na pesh aae nek maqsad mein
irade apne hamesha jawan rahne do
inhin ko dekh ke pahunchegi nasl manzil tak
har ek qadam pe lahu ke nishan rahne de
hawa ka ruKH ho muafiq ye intizar karo
abhi lapeTe hue baadban rahne do
KHushi ke sath uDao gulal su-e-falak
magar ye sun lo zamin par aman rahne do
kisi ki baat sukun ka sabab hai ai 'shadan'
meri zaban pe ye ek dastan rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.