ye tark-e-rabt to farda pe Tal rakhna tha
ye tark-e-rabt to fardā pe Taal rakhnā thā
kisī bhī haal meñ rishta bahāl rakhnā thā
diloñ kī talḳhiyāñ saḌkoñ pe khīñch laayā tū
purāne rabt kā kuchh to ḳhayāl rakhnā thā
ye us kī soch hai apnī vafā kare na kare
tumheñ to apnā kaleja nikāl rakhnā thā
yuuñ guftugū kā koī silsila baḌhāne ko
hameñ javāb meñ phir se savāl rakhnā thā
mire ḳhayāl kī jumbish bhī bhāñpne vaale
tumhārā naam to ham ko ġhazāl rakhnā thā
maiñ uTThā aur tire paas koī baiTh gayā
mirī ye bhuul thī mujh ko rūmāl rakhnā thā
ye tark-e-rabt to farda pe Tal rakhna tha
kisi bhi haal mein rishta bahaal rakhna tha
dilon ki talKHiyan saDkon pe khinch laya tu
purane rabt ka kuchh to KHayal rakhna tha
ye us ki soch hai apni wafa kare na kare
tumhein to apna kaleja nikal rakhna tha
yun guftugu ka koi silsila baDhane ko
hamein jawab mein phir se sawal rakhna tha
mere KHayal ki jumbish bhi bhanpne wale
tumhaara nam to hum ko ghazal rakhna tha
main uTTha aur tere pas koi baiTh gaya
meri ye bhul thi mujh ko rumal rakhna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.