ye tarz-e-jaur ye andaz-e-dil dikhane ke
ye tarz-e-jaur ye andāz-e-dil dikhāne ke
vo pūchhte haiñ hamāre ho yā zamāne ke
hamāre ghar ko lagī aag jin charāġhoñ se
qusūr-vār hamī thī unheñ jalāne ke
vo jin ke vāste Thukrā diyā zamāne ko
vo de rahe haiñ mujhe vāste zamāne ke
hamāre ahd kī tārīḳh ham se mat pūchho
vo vāqi.āt nahīñ haiñ sunā.e jaane ke
maiñ de rahā thā unheñ dars zindagānī kā
vo kar rahe the bahāne mujhe miTāne ke
huzūr jurm-o-sazā to bas ik bahānā hai
hamī the ahal salībeñ na.ī sajāne ke
ye tarz-e-jaur ye andaz-e-dil dikhane ke
wo puchhte hain hamare ho ya zamane ke
hamare ghar ko lagi aag jin charaghon se
qusur-war hami thi unhen jalane ke
wo jin ke waste Thukra diya zamane ko
wo de rahe hain mujhe waste zamane ke
hamare ahd ki tariKH hum se mat puchho
wo waqiat nahin hain sunae jaane ke
main de raha tha unhen dars zindagani ka
wo kar rahe the bahane mujhe miTane ke
huzur jurm-o-saza to bas ek bahana hai
hami the ahal saliben nai sajaane ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.