ye tarz-e-takallum hai tera ham-nafasan se
ye tarz-e-takallum hai tirā ham-nafasāñ se
tū dekh rahā hai nazar-e-sūd-o-ziyāñ se
tahqīr mirī is se sivā bazm meñ kyā ho
maiñ tujh se muḳhātib tū fulāñ-ibn-e-fulāñ se
kyā ma.arka-e-tūr bapā hone lagā hai
ik sho.ala lapaktā hai mire qalb-e-tapāñ se
mai-ḳhāna-e-ajmer se vo rañg hai mafqūd
ab shikva mujhe kuchh bhī nahīñ pīr-e-muġhāñ se
farhād kī masnad pe agar baiThnā chāhe
phir soch kī buniyād uThā koh-e-girāñ se
hañste hue karnā hai rafū zaḳhm-e-jigar kā
kuchh kaam nahīñ bantā yahāñ āh-o-fuġhāñ se
shā.ir huuñ marūñgā to kisī Dhab se marūñgā
ai dost koī rail guzartī hai yahāñ se
ye tarz-e-takallum hai tera ham-nafasan se
tu dekh raha hai nazar-e-sud-o-ziyan se
tahqir meri is se siwa bazm mein kya ho
main tujh se muKHatib tu fulan-ibn-e-fulan se
kya marka-e-tur bapa hone laga hai
ek shoala lapakta hai mere qalb-e-tapan se
mai-KHana-e-ajmer se wo rang hai mafqud
ab shikwa mujhe kuchh bhi nahin pir-e-mughan se
farhad ki masnad pe agar baiThna chahe
phir soch ki buniyaad uTha koh-e-giran se
hanste hue karna hai rafu zaKHm-e-jigar ka
kuchh kaam nahin banta yahan aah-o-fughan se
shair hun marunga to kisi Dhab se marunga
ai dost koi rail guzarti hai yahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.