ye tera iKHtiyar kari dushmani pasand
ye terā iḳhtiyār karī dushmanī pasand
mujh ko to mere yaar tirī dostī pasand
likhtī huuñ maiñ kahāniyāñ afsāne tabsire
lekin hai mere dil ko bahut shā.irī pasand
ġham ko to ishtihār banātī nahīñ huuñ maiñ
haañ hañstī-gātī mujh ko to hai zindagī pasand
makr-o-fareb jhuuT se rahtī maiñ duur huuñ
us ko bhī mere dil kī yahī sādgī pasand
tere sivā to koī bhī bhātā nahīñ mujhe
par tujh ko har kisī se hī hai dil-lagī pasand
terā koī bhī dosh nahīñ jāntī huuñ maiñ
terī talab hai ishq mujhe bandagī pasand
ḳhud ko kabhī 'shagufta' jī afzal na jāniye
logoñ ke saath rab ko bhī hai ājizī pasand
ye tera iKHtiyar kari dushmani pasand
mujh ko to mere yar teri dosti pasand
likhti hun main kahaniyan afsane tabsire
lekin hai mere dil ko bahut shairi pasand
gham ko to ishtihaar banati nahin hun main
han hansti-gati mujh ko to hai zindagi pasand
makr-o-fareb jhuT se rahti main dur hun
us ko bhi mere dil ki yahi sadgi pasand
tere siwa to koi bhi bhata nahin mujhe
par tujh ko har kisi se hi hai dil-lagi pasand
tera koi bhi dosh nahin jaanti hun main
teri talab hai ishq mujhe bandagi pasand
KHud ko kabhi 'shagufta' ji afzal na jaaniye
logon ke sath rab ko bhi hai aajizi pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.