ye tere hijr ka mausam sarab jaisa hai
ye tere hijr kā mausam sarāb jaisā hai
har ek lamha musalsal azaab jaisā hai
laboñ pe us ke tabassum ke phuul khilte haiñ
vo ek chehra mo.attar gulāb jaisā hai
kisī ne jaam uThāyā kisī kī zulf khulī
havā ke dosh pe mausam sahāb jaisā hai
ba-nām-e-lāla-ruḳhāñ kuchh to zahr-e-ġham pī leñ
tire laboñ meñ halāhil sharāb jaisā hai
vo mere paas hai lekin ye haal hai apnā
sukūn dil kā bhī ab iztirāb jaisā hai
qarār-e-jāñ bhī vahī iztirāb-e-jāñ bhī vahī
vo ek shaḳhs mujassam-shabāb jaisā hai
ḳhalish hai dil meñ kasak sī hai bekalī bhī hai
'sabā' ye hosh kā aalam bhī ḳhvāb jaisā hai
ye tere hijr ka mausam sarab jaisa hai
har ek lamha musalsal azab jaisa hai
labon pe us ke tabassum ke phul khilte hain
wo ek chehra moattar gulab jaisa hai
kisi ne jam uThaya kisi ki zulf khuli
hawa ke dosh pe mausam sahab jaisa hai
ba-nam-e-lala-ruKHan kuchh to zahr-e-gham pi len
tere labon mein halahil sharab jaisa hai
wo mere pas hai lekin ye haal hai apna
sukun dil ka bhi ab iztirab jaisa hai
qarar-e-jaan bhi wahi iztirab-e-jaan bhi wahi
wo ek shaKHs mujassam-shabab jaisa hai
KHalish hai dil mein kasak si hai bekali bhi hai
'saba' ye hosh ka aalam bhi KHwab jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.