ye tere mere hath
ye tere mire haath
ḳhushbū se bañdhe haath
kuchh bhī na kahā us ne
aur chuum liye haath
vo chhat se dikhātī hai
mehñdī se rañge haath
ham duur nikal aa.e
hāthoñ meñ liye haath
raushan hue miTTī meñ
miTTī se bhare haath
bujhtī huī sham.oñ par
mehrāb hue haath
ye tere mere hath
KHushbu se bandhe hath
kuchh bhi na kaha us ne
aur chum liye hath
wo chhat se dikhati hai
mehndi se range hath
hum dur nikal aae
hathon mein liye hath
raushan hue miTTi mein
miTTi se bhare hath
bujhti hui shamon par
mehrab hue hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.