ye teri uThti jawani ye chhanw taron ki
ye terī uThtī javānī ye chhāñv tāroñ kī
ye bhīnī bhīnī mahak ye nayā shabāb tirā
tire huzūr meñ merī har aarzū nākām
mirī nazar meñ har andāz kāmyāb tirā
tirī nazar meñ mirī har nigāh gustāḳhī
mire ḳhayāl meñ pur-kaif har itaab tirā
ye narm narm tabassum ye garm garm nigāh
miTā na de kahīñ saa.il ko ye javāb tirā
tujhe ḳhabar bhī hai o shoḳh kyā qayāmat hai
sharāb-o-sher meñ Duubā huā shabāb tirā
ye teri uThti jawani ye chhanw taron ki
ye bhini bhini mahak ye naya shabab tera
tere huzur mein meri har aarzu nakaam
meri nazar mein har andaz kaamyab tera
teri nazar mein meri har nigah gustaKHi
mere KHayal mein pur-kaif har itab tera
ye narm narm tabassum ye garm garm nigah
miTa na de kahin sail ko ye jawab tera
tujhe KHabar bhi hai o shoKH kya qayamat hai
sharab-o-sher mein Duba hua shabab tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.