ye tir hosh-ruba hai magar kaman nahin
ye tiir hosh-rubā hai magar kamān nahīñ
zamīn dhoke meñ rakkhegī āsmān nahīñ
mire bhī sāmne lab ko zarā sī jumbish deñ
mujhe milī hai ḳhabar aap be-zabān nahīñ
ujaaḌ sahrā ḳharāba ban aur vīrāna
har ek shai hai mirā ghar magar makān nahīñ
hai iḳhtiyār zamīñ par to āsmāñ kī havas
janāb aap ab itne bhī kuchh mahān nahīñ
vo shaḳhs merī mohabbat hai aur maiñ us kī
magar hamārā koī ek ḳhāndān nahīñ
hai ik fareb ye maktūb phaaḌ deñ is ko
adū ke lafz haiñ ye sab mirā bayān nahīñ
karā.e us se na hargiz bhī koī rakhvālī
vo ek chor hai ik chor pāsbān nahīñ
'azīz' hosh meñ aa jā ki asl duniyā hai
ye kohkan kī yā majnūñ kī dāstān nahīñ
ye tir hosh-ruba hai magar kaman nahin
zamin dhoke mein rakkhegi aasman nahin
mere bhi samne lab ko zara si jumbish den
mujhe mili hai KHabar aap be-zaban nahin
ujaD sahra KHaraba ban aur virana
har ek shai hai mera ghar magar makan nahin
hai iKHtiyar zamin par to aasman ki hawas
janab aap ab itne bhi kuchh mahan nahin
wo shaKHs meri mohabbat hai aur main us ki
magar hamara koi ek KHandan nahin
hai ek fareb ye maktub phaD den is ko
adu ke lafz hain ye sab mera bayan nahin
karae us se na hargiz bhi koi rakhwali
wo ek chor hai ek chor pasban nahin
'aziz' hosh mein aa ja ki asl duniya hai
ye kohkan ki ya majnun ki dastan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.