ye teri dushnam ke pichhe hansi gulzar si
ye tirī dushnām ke pīchhe hañsī gulzār sī
ḳhuub lagtī hai gunah ke ba.ad istiġhfār sī
yaar kī añkhiyoñ setī jab siiñ lagā hai merā dil
tab.a merī tab setī rahtī hai kuchh bīmār sī
husn kī chaḌhtī kabhī ho hai kabhī baḌhtī kalā
chāñd kī hotī nahīñ gintī meñ din har baar sī
ye teri dushnam ke pichhe hansi gulzar si
KHub lagti hai gunah ke baad istighfar si
yar ki ankhiyon seti jab sin laga hai mera dil
taba meri tab seti rahti hai kuchh bimar si
husn ki chaDhti kabhi ho hai kabhi baDhti kala
chand ki hoti nahin ginti mein din har bar si
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 283)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.