ye tishna-labi hi to hai uslub hamara
ye tishna-labī hī to hai uslūb hamārā
tālib haiñ tire ham tū hai matlūb hamārā
qāsid kā ravayya bhī baḌā ġhaur-talab thā
nai le ke gayā āḳhirī maktūb hamārā
kal shaam sar-e-bām dikhā chāñd jo raushan
yādoñ se tirī dil huā mā'tūb hamārā
sarkār jo kah deñ hameñ manzūr vahī hai
har qaul muqaddas tirā mā'yūb hamārā
sab dair-o-haram dekh liye chhān liye haiñ
miTtā hī nahīñ hai miyāñ āshob hamārā
ab taḳht-nashīnoñ ko paḌhā.eñge sabaq ham
ab chhīn ke leñge haq-e-maslūb hamārā
ye tishna-labi hi to hai uslub hamara
talib hain tere hum tu hai matlub hamara
qasid ka rawayya bhi baDa ghaur-talab tha
nai le ke gaya aaKHiri maktub hamara
kal sham sar-e-baam dikha chand jo raushan
yaadon se teri dil hua ma'tub hamara
sarkar jo kah den hamein manzur wahi hai
har qaul muqaddas tera ma'yub hamara
sab dair-o-haram dekh liye chhan liye hain
miTta hi nahin hai miyan aashob hamara
ab taKHt-nashinon ko paDhaenge sabaq hum
ab chhin ke lenge haq-e-maslub hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.