ye to ab tai hai ki wo lauT ke aane se raha
ye to ab tai hai ki vo lauT ke aane se rahā
maiñ bhī tasvīr koī aur banāne se rahā
maiñ jahāñ huuñ vo añdheroñ kā ghanā jangal hai
merā saayā bhī mujhe DhūñD ke laane se rahā
taaj is daur meñ mumkin hai ki ban bhī jaa.e
koī fankār magar haath kaTāne se rahā
ġham to har haal meñ āñkhoñ se chhalak jā.egā
laash siine meñ samundar bhī chhupāne se rahā
rūThnā hai to baḌe shauq se tū ruuTh magar
zindagī maiñ tujhe is baar manāne se rahā
ye to ab tai hai ki wo lauT ke aane se raha
main bhi taswir koi aur banane se raha
main jahan hun wo andheron ka ghana jangal hai
mera saya bhi mujhe DhunD ke lane se raha
taj is daur mein mumkin hai ki ban bhi jae
koi fankar magar hath kaTane se raha
gham to har haal mein aankhon se chhalak jaega
lash sine mein samundar bhi chhupane se raha
ruThna hai to baDe shauq se tu ruTh magar
zindagi main tujhe is bar manane se raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.