ye to mumkin na tha wafa karte
ye to mumkin na thā vafā karte
aap mil kar bhī mujh se kyā karte
Dar ga.e barq kī chamak se kalīm
baat to jab thī sāmnā karte
aa to jaate ki vaqt-e-āḳhir thā
mere marne hī kī duā karte
na mile vo na hasrateñ niklīñ
kaT ga.ī umr mudda.ā karte
hijr-e-mahbūb kā ilaaj to thā
zaḳhm-e-hasrat kī kyā davā karte
jo haiñ nā-āshnā-e-harf-e-vafā
vo kisī se kahāñ vafā karte
un ke aane se maiñ na jī jaatā
rasm-e-duniyā to vo adā karte
ḳhalq kī ye sadā bhī sun lo 'habīb'
safar-e-dasht-e-karbalā karte
ye to mumkin na tha wafa karte
aap mil kar bhi mujh se kya karte
Dar gae barq ki chamak se kalim
baat to jab thi samna karte
aa to jate ki waqt-e-aKHir tha
mere marne hi ki dua karte
na mile wo na hasraten niklin
kaT gai umr muddaa karte
hijr-e-mahbub ka ilaj to tha
zaKHm-e-hasrat ki kya dawa karte
jo hain na-ashna-e-harf-e-wafa
wo kisi se kahan wafa karte
un ke aane se main na ji jata
rasm-e-duniya to wo ada karte
KHalq ki ye sada bhi sun lo 'habib'
safar-e-dasht-e-karbala karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.