ye to nahin ki un se mohabbat nahin mujhe
ye to nahīñ ki un se mohabbat nahīñ mujhe
pahlī sī vālihāna aqīdat nahīñ mujhe
ab maiñ huuñ aur apnī talab apnī aarzū
apne sivā kisī kī zarūrat nahīñ mujhe
jaise kisī ne daulat-e-kaunain baḳhsh dī
ġham vo milā ki shikva-e-qismat nahīñ mujhe
hai tark-e-ma.asiyat meñ bhī pahlū gunāh kā
kyā e'tibār-e-va.ada-e-rahmat nahīñ mujhe
jalva kuchh is adā se dikhā kar chale ga.e
shikva to kyā hai shukr kī fursat nahīñ mujhe
bezār huuñ to apne mazāq-e-vafā se huuñ
is ke sivā kisī se shikāyat nahīñ mujhe
ye to nahin ki un se mohabbat nahin mujhe
pahli si walihana aqidat nahin mujhe
ab main hun aur apni talab apni aarzu
apne siwa kisi ki zarurat nahin mujhe
jaise kisi ne daulat-e-kaunain baKHsh di
gham wo mila ki shikwa-e-qismat nahin mujhe
hai tark-e-masiyat mein bhi pahlu gunah ka
kya e'tibar-e-wada-e-rahmat nahin mujhe
jalwa kuchh is ada se dikha kar chale gae
shikwa to kya hai shukr ki fursat nahin mujhe
bezar hun to apne mazaq-e-wafa se hun
is ke siwa kisi se shikayat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.