ye to sahra hai yahan ThanDi hawa kab aaegi
ye to sahrā hai yahāñ ThanDī havā kab aa.egī
yaar, tum ko saañs lene kī adā kab aa.egī
kuuch karnā chāhte haiñ phir mirī bastī ke log
phir tirī āvāz ai koh-e-nidā kab aa.egī
nasl-e-tāza, maiñ tujhe kyā tajrabe apne batā.ūñ
tere baḌhte jism par merī qabā kab aa.egī
sar-barahna bībiyoñ ke baal chāñdī ho ga.e
ḳheme phir istāda kab hoñge ridā kab aa.egī
taaq meñ kab tak jalegā ye charāġh-e-intizār
is taraf shab-e-gasht logoñ kī sadā kab aa.egī
merī miTTī meñ bhī kuchh paude numū-āmāda haiñ
tū mire āñgan tak ai kaalī ghaTā kab aa.egī
ye to sahra hai yahan ThanDi hawa kab aaegi
yar, tum ko sans lene ki ada kab aaegi
kuch karna chahte hain phir meri basti ke log
phir teri aawaz ai koh-e-nida kab aaegi
nasl-e-taza, main tujhe kya tajrabe apne bataun
tere baDhte jism par meri qaba kab aaegi
sar-barahna bibiyon ke baal chandi ho gae
KHeme phir istada kab honge rida kab aaegi
taq mein kab tak jalega ye charagh-e-intizar
is taraf shab-e-gasht logon ki sada kab aaegi
meri miTTi mein bhi kuchh paude numu-amada hain
tu mere aangan tak ai kali ghaTa kab aaegi
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 121)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.