ye to socha hi nahin usko juda karte hue
ye to sochā hī nahīñ us ko judā karte hue
chun liyā hai ġham bhī ḳhushiyoñ ko rihā karte hue
jin charāġhoñ par bharosa thā unhoñ ne āḳhirash
sāzisheñ kar liiñ havāoñ se daġhā karte hue
aañkh ke sandūqche meñ band hai ik sail-e-dard
Dar rahī huuñ qufl un palkoñ ke vā karte hue
jāntī thī kab bhaTaktī hī rahegī dar-ba-dar
ham-safar apnā sahāboñ ko ghaTā karte hue
dost ko pahchāntī thiiñ āñkheñ na dushman koī
phoḌ Daalā hai unheñ apnī sazā karte hue
ye to socha hi nahin us ko juda karte hue
chun liya hai gham bhi KHushiyon ko riha karte hue
jin charaghon par bharosa tha unhon ne aaKHirash
sazishen kar lin hawaon se dagha karte hue
aankh ke sanduqche mein band hai ek sail-e-dard
Dar rahi hun qufl un palkon ke wa karte hue
jaanti thi kab bhaTakti hi rahegi dar-ba-dar
ham-safar apna sahabon ko ghaTa karte hue
dost ko pahchanti thin aankhen na dushman koi
phoD Dala hai unhen apni saza karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.