ye umr thi na abhi hijr ke zamane the
ye umr thī na abhī hijr ke zamāne the
mujhe to yaar abhī qahqahe lagāne the
isī liye to chhupā.e haiñ jā ke miTTī meñ
vo log log nahīñ qīmtī ḳhazāne the
vahī judā.ī vahī dūriyoñ kā mātam hai
jadīd daur meñ sadme vahī purāne the
ghaḌī kī ek suuī hil nahīñ rahī jaise
bichhaḌte vaqt kā lamha ka.ī zamāne the
jahān-e-kun-fayakūñ mujh pe naaz kartā thā
mire ḳhudā-o-payambar se dostāne the
kanār-e-āb thī sūraj se dostī jis kā
yahāñ pe aks kahīñ aur par Thikāne the
ye kis ne raat ke bārah baje uThāyā hai
abhī to ḳhvāb mujhe raushnī ke aane the
yahī bayān hai phir amn tak laḌeñge ham
murād ye ki abhī aur bam chalāne the
tumhī ne call milā.ī nahīñ vagarna to
bas ek phone pe ahbāb maan jaane the
shikastagī se baḌī puḳhtagī milānī thī
ye hādsāt kisī jiit ke bahāne the
hameñ to aur bhī 'e.ajāz'-e-fan dikhānā thā
bahut se harf sarā-e-suḳhan meñ aane the
ye umr thi na abhi hijr ke zamane the
mujhe to yar abhi qahqahe lagane the
isi liye to chhupae hain ja ke miTTi mein
wo log log nahin qimti KHazane the
wahi judai wahi duriyon ka matam hai
jadid daur mein sadme wahi purane the
ghaDi ki ek sui hil nahin rahi jaise
bichhaDte waqt ka lamha kai zamane the
jahan-e-kun-fayakun mujh pe naz karta tha
mere KHuda-o-payambar se dostane the
kanar-e-ab thi suraj se dosti jis ka
yahan pe aks kahin aur par Thikane the
ye kis ne raat ke barah baje uThaya hai
abhi to KHwab mujhe raushni ke aane the
yahi bayan hai phir amn tak laDenge hum
murad ye ki abhi aur bam chalane the
tumhi ne call milai nahin wagarna to
bas ek phone pe ahbab man jaane the
shikastagi se baDi puKHtagi milani thi
ye hadsat kisi jit ke bahane the
hamein to aur bhi 'eajaz'-e-fan dikhana tha
bahut se harf sara-e-suKHan mein aane the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.