ye unki aankhon mein aksar dikhai deta hai
ye un kī āñkhoñ meñ aksar dikhā.ī detā hai
ki ham ko aap se behtar dikhā.ī detā hai
ajiib haiñ mirī āñkheñ usī ko DhūñDhtī haiñ
jo band āñkhoñ se behtar dikhā.ī detā hai
jise nikāl ke laa.e the raushnī meñ ham
ab us kā saaya bhī ham par dikhā.ī detā hai
chhupegā kyoñ koī apnī banā.ī duniyā se
dikhā.ī detā hai aksar dikhā.ī detā hai
kabhī kabhī maiñ ye āñkheñ amal meñ laatā huuñ
ziyāda-tar mujhe chhū kar dikhā.ī detā hai
ye un ki aankhon mein aksar dikhai deta hai
ki hum ko aap se behtar dikhai deta hai
ajib hain meri aankhen usi ko DhunDhti hain
jo band aankhon se behtar dikhai deta hai
jise nikal ke lae the raushni mein hum
ab us ka saya bhi hum par dikhai deta hai
chhupega kyon koi apni banai duniya se
dikhai deta hai aksar dikhai deta hai
kabhi kabhi main ye aankhen amal mein lata hun
ziyaada-tar mujhe chhu kar dikhai deta hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.